From emotional blackmailing to sarcastic remarks to comparison with your cousins to bribery, parents try everything they can to make their kids study. Here are few of the most common things said by them!
1. Zindagi me kuch banna chahte ho toh padh lo.
2. Padhayi karoge toh apna hi bhala karoge, hume kya?
3. Hum Ambanis nhi hai, ki padhayi nhi ki toh chal jayega.
4. Sharma ji ke bete ko dekho. Har waqt padta rehta hai. Kuch seekh lo usse.
5. Is baar agar 95% lekar aaye toh tumhe naya mobile lekar denge.
6. Din bhar movies dekhte rehte ho. Shahrukh Khan ne nahi aana tumhara paper dene. Khud hi likhna padega paper.
7. Is baar paper me marks kam aaye na toh TV cable band kara denge.
8. Jinhone padna hota hai na, woh street light me bhi padh lete hai. Tumhari tarah nhi, AC, TV sab mila hai, fir bhi kadar nhi.
9. Zindagi me padayi ne hi kaam aana hai. Tumhare friends ne nhi.
10. Humare time par toh itni facilities bhi nhi hoti thi, fir bhi hum man laga kar padte the.
11. Jitna dhyan tum video games aur TV me lagate ho, agar utna dhyan padayi me laga loge toh class me top karoge.
12. Bas ye do saal mehnat kar lo, usko baad toh zindagi bhar aaram hai.
Share Your Views